Sare Aalam Mein Teri KHushbu Hai
sare aalam mein teri KHushbu hai
ai mere rashk-e-gul kahan tu hai
barchhi thi wo nigah dekho to
lahu aankhon mein hai ki aansu hai
ek dam mein hazar daftar tai
chashm-e-hasrat ghazab suKHan-go hai
tu hi tu aur baal baal apna
faKHta aur shor-e-ku-ku hai
tujh ko dekhe phir aap mein rah jae
dil par itna kisi ko qabu hai
josh-e-ashk o tasawwur-e-qad-e-yar
sarw goya khaDa lab-e-ju hai
had na puchho hamari wahshat ki
dil mein har dagh chashm-e-ahu hai
jis ne momin bana liya hum ko
wo tumhaara hi mushaf-e-ru hai
jis ke kushte hain zinda-e-jawed
wo tumhaari hi tegh-e-abru hai
dil jo be-muddaa ho kya kahna
yahi virana aalam-e-hu hai
pul bhi hai faKHr-e-jaunpur 'asi'
KHwab-gah-e-janab-e-sheKHu hai
(1563) Peoples Rate This