Qatra Wahi Ki Ru-kash-e-dariya Kahen Jise
qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise
yani wo main hi kyun na hun tujh sa kahen jise
wo ek nigah ai dil-e-mushtaq is taraf
aashob-gah-e-hashr-e-tamana kahen jise
bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise
ai husn-e-jalwa-e-ruKH-e-jaanan kabhi kabhi
taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazara kahen jise
is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sada kahan
han baat wo kahun ki na kahna kahen jise
ye baKHshish apne banda-e-nachiz ke liye
thoDi si punji aisi ki duniya kahen jise
ham-bazm ho raqib to kyun-kar na chheDiye
aahang-e-saz-e-dard ki nala kahen jise
paimana-e-nigah se aaKHir chhalak gaya
sar josh-e-zauq-e-wasl-e-tamanna kahen jise
'asi' jo gul se gal kisi ke hue to kya
mashuq wo ki sab se nirala kahen jise
(1684) Peoples Rate This