Phir Mizaj Us Rind Ka Kyunkar Mile
phir mizaj us rind ka kyunkar mile
jis ko us ke hath se saghar mile
ye bhi milna hai ki baad-az-sad-talash
hadd-e-wahm-o-fahm se bahar mile
kuchh na puchho kaisi nafrat hum se hai
hum hain jab tak wo hamein kyunkar mile
meri aankhen aur us ki KHak-e-pa
tere kuche ka agar rahbar mile
wasl hai sar-josh-e-sahba-e-fana
phir agar koi mile kyunkar mile
milne ke pahle fana hona zarur
phir fana jo ho gaya kyunkar mile
'asi'-e-giryan mila mahbub se
gul se shabnam jis tarah ro kar mile
(1411) Peoples Rate This