Na Mere Dil Na Jigar Par Na Dida-e-tar Par
na mere dil na jigar par na dida-e-tar par
karam kare wo nishan-e-qadam to patthar par
tumhaare husn ki taswir koi kya khinche
nazar Thaharti nahin aariz-e-munawwar par
kisi ne li rah-e-kaba koi gaya su-e-dair
paDe rahe tere bande magar tere dar par
gunahgar hun main waizo tumhein kya fikr
mera muamla chhoDo shafi-e-mahshar par
un abaruon se kaho kushtani mein jaan bhi hai
isi ke waste KHanjar khincha hai KHanjar par
pila de aaj ki marte hain rind ai saqi
zarur kya ki ye jalsa ho hauz-e-kausar par
salahiyat bhi to paida kar ai dil-e-muztar
paDa hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar patthar par
wafur-e-josh-e-ziya aur un ke danton ka
habab-e-gumbad-e-gardun hai aab-e-gauhar par
aKHir waqt hai 'asi' chalo madine ko
nisar ho ke maro turbat-e-payambar par
(1849) Peoples Rate This