Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_04954a68d3a5f5e1704b7b44b00c86ac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Kahun Kahna Jo Mera Kijiye - Aasi Ghazipuri Poetry In English - Darsaal

Kuchh Kahun Kahna Jo Mera Kijiye

kuchh kahun kahna jo mera kijiye

chahne wale ko chaha kijiye

hausla tegh-e-jafa ka rah na jae

aaiye KHun-e-tamanna kijiye

fitna-e-roz-e-qayamat hai wo chaal

aaj wo aate hain dekha kijiye

kis ko dekha un ki surat dekh kar

ji mein aata hai ki sajda kijiye

fitne sab barpa kiye hain husn ne

meri ulfat ko na ruswa kijiye

hur-e-jannat un se kuchh baDh kar sahi

ek dil kya kya tamanna kijiye

kar diya hairat ne mujh ko aaina

be-takalluf munh dikhaya kijiye

josh mein aa jae rahmat ki tarah

ek ek qatre ko dariya kijiye

nam agar darkar hai misl-e-nagin

ek ghar mein jam ke baiTha kijiye

mil chuke ab milne wale KHak ke

qabr par ja ja ke roya kijiye

kaun tha kal bais-e-be-pardagi

aap mujh se aaj parda kijiye

kal ki baaton mein to kuchh narmi si hai

aaj phir qasid rawana kijiye

rah takte takte 'asi' chal basa

kyun kisi se aap wada kijiye

(1451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Kahun Kahna Jo Mera Kijiye In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Kuchh Kahun Kahna Jo Mera Kijiye is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Kuchh Kahun Kahna Jo Mera Kijiye for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Kuchh Kahun Kahna Jo Mera Kijiye in PDF.