Kaleja Munh Ko Aata Hai Shab-e-furqat Jab Aati Hai
kaleja munh ko aata hai shab-e-furqat jab aati hai
akele munh lapeTe rote rote jaan jati hai
lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
dikhati hai kabhi bhaala kabhi barchhi lagati hai
nigah-e-naz-e-jaanan hum ko kya kya aazmati hai
wo bikhrane lage zulfon ko chehre par to main samjha
ghaTa mein chand ya mahmil mein laila munh chhupati hai
karegi apne hathon aaj apna KHun mashshata
bahut rach-rach ke talwon mein tere mehndi lagati hai
na koi zor us ayyar par ab tak chala apna
yahan dam TuTta hai aur dam mein jaan jati hai
taDapna tilmilana loTna sar piTna rona
shab-e-furqat akeli jaan par sau aafat aati hai
pachhaDen kha raha hun loTta hun dard-e-furqat se
ajal ke panw TuTen kyun nahin is waqt aati hai
(1389) Peoples Rate This