Itna To Jaante Hain Ki Aashiq Fana Hua
itna to jaante hain ki aashiq fana hua
aur us se aage baDh ke KHuda jaane kya hua
shan-e-karam thi ye bhi agar wo juda hua
kya mehnat-e-talab mein na hasil maza hua
main aur ku-e-ishq mere aur ye nasib
zauq-e-fana KHizar ki tarah rahnuma hua
pahchanta wo ab nahin dushman ko dost se
kis qaid se asir-e-mohabbat riha hua
shayan-e-darguzar hai agar iztirar mein
jurm-e-daraaz-dasti-e-zauq-e-dua hua
kya kya na us ne pure kiye muddaa-e-dil
lekin pasand use dil-e-be-muddaa hua
us ka pata kisi se na puchho baDhe chalo
fitna kisi gali mein to hoga uTha hua
gul-ruyon ke KHayal ne gulshan bana diya
sina kabhi madina kabhi karbala hua
pechida thi jo sar mein hawa-e-raza-e-dost
'asi' murid-e-silsila-e-murtaza hua
(1615) Peoples Rate This