Hirs Daulat Ki Na Izz O Jah Ki
hirs daulat ki na izz o jah ki
bas tamanna hai dil-e-agah ki
dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki
khinch gae kanan se yusuf misr ko
puchhiye hazrat se quwwat chah ki
bas suluk us ka hai manzil us ki hai
us ke dil tak jis ne apni rah ki
waizo kaisa buton ka ghurna
kuchh KHabar hai summa-wajhul-lah ki
yaad aai taq-e-bait-ul-lah mein
bait-e-abru us but-e-dil-KHwah ki
rah-e-haq ki hai agar 'asi' talash
KHak-e-rah ho mard-e-haq-agah ki
(1598) Peoples Rate This