Ek Jalwe Ki Hawas Wo Dam-e-rehlat Bhi Nahin
ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin
kuchh mohabbat nahin zalim to murawwat bhi nahin
us ke kuche mein kahan kashmakash bim-o-raja
KHauf-e-dozaKH bhi nahin KHwahish-e-jannat bhi nahin
zauq-e-masti ki mazammat na kar itni ai shaiKH
kya tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhi nahin
be-niyazi bhi uTha lun main tere naz ki tarah
kya wo taqat na rahi mujh mein to himmat bhi nahin
kis tarah kahiye ki didar dikhaya us ne
bagh-e-jannat bhi nahin roz-e-qayamat bhi nahin
zohd-o-taqwa o islah-e-dar-husn-e-amal
kuchh nahin mujh mein magar kya teri rahmat bhi nahin
jazb-e-kaamil se use khinch lo ai hazrat-e-dil
kaise darwesh ho kuchh tum mein karamat bhi nahin
kabhi 'asi' se ham-aghosh na dekha tujh ko
asar-e-jazba-e-dil ahl-e-mohabbat bhi nahin
(1587) Peoples Rate This