Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5757a99ff8b632f6632e368e49a96e59, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us ShoKH Se Milte Hi Hui Apni Nazar Tez - Aasi Faiqi Poetry In English - Darsaal

Us ShoKH Se Milte Hi Hui Apni Nazar Tez

us shoKH se milte hi hui apni nazar tez

hai mehr-e-daraKHshan ki shuaon ka asar tez

wo peD jo tezab se sairab hua tha

us peD ka hone laga har ek samar tez

wo manzil-e-maqsud pe pahunchega yaqinan

jo rah mein chalta rahe be-KHauf-o-KHatar tez

deta hai jidhar un ko mafad apna dikhai

arbab-e-hawas shauq se baDhte hain udhar tez

be-nur na kar jae fasadat ki aandhi

lau ghar ke charaghon ki zara aur bhi kar tez

aasar qayamat ke nazar aate hain 'asi'

is daur mein dekha gaya har ek bashar tez

(1304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us ShoKH Se Milte Hi Hui Apni Nazar Tez In English By Famous Poet Aasi Faiqi. Us ShoKH Se Milte Hi Hui Apni Nazar Tez is written by Aasi Faiqi. Read famous Poem Us ShoKH Se Milte Hi Hui Apni Nazar Tez for youth and Student by Aasi Faiqi. Free Download Us ShoKH Se Milte Hi Hui Apni Nazar Tez in PDF.