KHak Sahra Mein UDati Hai Ye Diwani Hawa
KHak sahra mein uDati hai ye diwani hawa
aur bahaaron mein karegi chaak-damani hawa
peD ukhDe ghar gire aandhi chali chhappar uDe
chal paDi jis waqt aabaadi mein diwani hawa
garmiyon mein muztarib the log pani ke liye
baadalon ko kar gai barsat mein pani hawa
yun hua mahsus patton ke khaDakne se mujhe
chupke chupke karti hai auraq-gardani hawa
raushni hi raushni hoti jahan mein har taraf
gar charaghon ki kiya karti nigahbani hawa
hae phir jazbaat 'asi' ko hawa dene lage
dil ke dariya mein kahin lae na tughyani hawa
(1475) Peoples Rate This