Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e4bb31b07689958a0ae01a5dce93d5a1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wapsi - Aashufta Changezi Poetry In English - Darsaal

Wapsi

aziyyat aur is sukun

donon ko hi dil khol ke main ne luTaya hai

hazaron bar aisa bhi hua hai

doston ki rahnumai mein

phira hun mara mara

shahr ki aabaad saDkon par

kabhi viran galiyon mein

kabhi sahraon ki bhi KHak chhani hai

magar is bar jaane kya hua mujh ko

numaish ki dukanon mein

saja kar KHud ko ghar wapas chala aaya

abhi darwaza main ne khaTkhaTaya tha

ki ghar walon ne kina-tuz nazron se mujhe dekha

jab un ki aankhon mein,

koi ramaq pahchan ki main ne nahin pai

to ulTe pairon wapas lauT aaya hun

aur ab ye sochta hun

doston ki rahnumai mein

unhin galiyon mein sahraon mein ja kar

apne qadmon ke nishan DhunDun

(1478) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wapsi In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Wapsi is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Wapsi for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Wapsi in PDF.