Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_06171a6abe07771654c7efd07624131b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Parchhaiyan PakaDne Wale - Aashufta Changezi Poetry In English - Darsaal

Parchhaiyan PakaDne Wale

diary ke ye sada waraq

aur qalam chhin lo

aainon ki dukanon mein sab

apne chehre liye

ek barhana tabassum ke mohtaj hain

sard bazar mein

ek bhi chahne wala aisa nahin

jo unhen zindagi ka sabab baKHsh de

dhund se jagmagate hue shahr ki battiyan

sajda karti hui kahkashan

KHub-surat KHudaon ki phirti hui Toliyan

aisa lagta hai sab

ek muddat se parchhaiyon ko pakaDne mein masruf hain!!!

(1475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parchhaiyan PakaDne Wale In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Parchhaiyan PakaDne Wale is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Parchhaiyan PakaDne Wale for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Parchhaiyan PakaDne Wale in PDF.