Pahla KHutba
phir ek jamm-e-ghafir
ek maidan mein
aasman ki taraf der se tak raha hai!
imra-ul-qais ki beTiyan
shairi ki zaban phir samajhne lagin
laplapati zabanen
KHitabat ka jadu jagane lagin
wo KHuda-zadiyan muskurane lagin
aur melon mein phir bhiD baDhne lagi
koi mimbar se bola
ki ai mere pyaro!
tumhein apne aglon ki umren lagen
baz aao safar se
kuchh aaram lo
qafilon ki madhur ghanTiyan
ret ke silsile
us ki denge gawahi tumhein
hum ne pahle kaha tha
gharon mein raho
tum na mane to us ki saza pa chuke
baz aao abhi waqt hai
be-karan nili nili KHala
phir na mashur kar de tumhein
(1647) Peoples Rate This