Aqd-name
aaj unhon ne ailan kar hi diya
dekho!
hum ne tumhaari sab ki sab quwwaton ka faisla kiya tha
qil-o-qal ki gunjaish baqi nahin hai
tumhaare iqrar-name hamare pas mahfuz hain
tum se pahle walon ki KHata yahi thi
ki unhen,
apni naf ke niche sarsarahaT ka ehsas
kuchh ziyaada hi ho chala tha
unhen shahr-badar kar diya gaya
un ke pachhtawe aur giDgiDahaTen
aaj bhi hamare kanon mein mahfuz hain
tumhein itni chhuT di hi kyun jae
ki tum
kal hamare muqable par utar aao
hum tumhein hoshiyar kiye dete hain
diwaren phalangne wale
itab se bach nahin sakte
aqd-namon par tumhaare dastaKHat
tumhaari na-muradi ka khula e'tiraf hain
is ke baghair
hamari haram-sara mein
daKHil hone ke ijazat-name
tumhein mil bhi kaise sakte the
is se pahle ki hamare najibut-tarafain shajre mashkuk ho jaen
aur hamare hasab-nasab par aanch aa jae
ham!
tum se pahle gulu-KHalasi ka rasta DhunD nikalenge!!
(1394) Peoples Rate This