Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_hoohqbqo4rlh25fhjc5poqth70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aawara Parchhaiyan - Aashufta Changezi Poetry In English - Darsaal

Aawara Parchhaiyan

sare din ki thaki,

viran aur be-masraf raat ko

ek ajib mashghala hath aa gaya hai

ab wo!

sare shahr ki aawara parchhaiyon ko

jism dene ki koshish mein masruf hai

mujhe malum hai

agar gum-nam parchhaiyon ko

un ki pahchan mil gai

to shahr ke muazzaz aur ibaadat-guzar sharif-zade

ham-shakl parchhaiyon ke KHauf se

parchhaiyon mein tabdil ho jaenge

aur

be-masraf din bhar ki thaki hui raat ko

ek aur mashghala mil jaega

(1431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawara Parchhaiyan In English By Famous Poet Aashufta Changezi. Aawara Parchhaiyan is written by Aashufta Changezi. Read famous Poem Aawara Parchhaiyan for youth and Student by Aashufta Changezi. Free Download Aawara Parchhaiyan in PDF.