Tabir Isko Kya Hai Dhuan Dekhta Hun Main
tabir is ki kya hai dhuan dekhta hun main
ek dariya kuchh dinon se rawan dekhta hun main
ab ke bhi raegan gain sahra-nawardiyan
phir teri rahguzar ke nishan dekhta hun main
ye sach hai ek jast mein hai fasla tamam
lekin udhar bhi shahr-e-guman dekhta hun main
hai raushni hi raushni manzar nahin koi
suraj laTak rahe hain jahan dekhta hun main
aaya jo is hisar mein nikla na phir kabhi
kuchh Dubte ubharte makan dekhta hun main
khaegi ab ke bar bhi aashuftagi fareb
said-e-tilism-e-shola-ruKHan dekhta hun main
(1401) Peoples Rate This