Silsila Ab Bhi KHwabon Ka TuTa Nahin
silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin
kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin
hain fasilon se uljhe hue sar-phire
dur tak koi shahr-e-tamanna nahin
sham se hi gharon mein paDin kunDiyan
chand is shahr mein kyun nikalta nahin
aag lagne ki KHabren to pahunchin magar
koi hairat nahin koi chaunka nahin
chhin kar mujh se le jae mera badan
mo'tabar itna koi andhera nahin
kya yahi milte rahne ka inam hai
ek khiDki nahin ek jharoka nahin
ek manzar mein lipTe badan ke siwa
sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin
tez ho jaen is ka to imkan hai
aandhiyan ab ruken aisa lagta nahin
(1438) Peoples Rate This