Koi Ghul Hua Tha Na Shor-e-KHizan
koi ghul hua tha na shor-e-KHizan
ujaDne lagin KHud-ba-KHud bastiyan
jise dekhne ghar se nikle the hum
dhuan ho gaya sham ka wo saman
sabhi kuchh to dariya baha le gaya
tujhe aur kya chahiye aasman
bas ek dhund hai aur kuchh bhi nahin
rawana hui thin jidhar kashtiyan
abhi tai-shuda koi jada nahin
abhi tak bhaTakte hain sab karwan
yahi ek KHabar garm thi shahr mein
ki ek shoKH bachche ne khinchi kaman
tamasha dikha ke gai subh-e-nau
KHamoshi hai phir se wahi darmiyan
taaruf mera koi mushkil nahin
main 'ashufta' changezi ibn-e-KHizan
(1439) Peoples Rate This