Baadban Kholegi Aur Band-e-qaba Le Jaegi
baadban kholegi aur band-e-qaba le jaegi
raat phir aaegi phir sab kuchh baha le jaegi
KHwab jitne dekhne hain aaj sare dekh len
kya bharosa kal kahan pagal hawa le jaegi
ye andhere hain ghanimat koi rasta DhunD lo
subh ki pahli kiran aankhen uTha le jaegi
hosh-mandon se bhare hain shahr aur jangal sabhi
sath kis kis ko bhala kali ghaTa le jaegi
jagte manzar chhaten dalan aangan khiDkiyan
ab ke phere mein hawa ye bhi uDa le jaegi
ek ek kar ke sabhi sathi purane kho gae
jo bacha hai wo nigah-e-surma-sa le jaegi
jate jate dekh lena gardish-e-lail-o-nahaar
zindagi se bankpan lutf-e-KHata le jaegi
(1540) Peoples Rate This