Ek Nazm
danish-war kahlane walo
tum kya samjho
mubham chizen kya hoti hain
thal ke registan mein rahne wale logo
tum kya jaano
sawan kya hai
apne badan ko
raat mein andhi tariki se
din mein KHud apne hathon se
Dhanpne walo
uryan logo
tum kya jaano
choli kya hai daman kya hai
shahr-badar ho jaane walo
fuTpathon par sone walo
tum kya samjho
chhat kya hai diwaren kya hain
aangan kya hai
ek laDki ka KHizan-rasida bazu thame
nabz ke upar hath jamae
ek sada par kan lagae
dhaDkan sansen ginne walo
tum kya jaano
mubham chizen kya hoti hain
dhaDkan kya hai jiwan kya hai
sattarah-number ke bistar par
apni qaid ka lamha lamha ginne wali
ye laDki jo
barson ki bimar nazar aati hai tum ko
sola sal ki ek bewa hai
hanste hanste ro paDti hai
andar tak se bhig chuki hai
jaan chuki hai
sawan kya hai
is se puchho
kanch ka bartan kya hota hai
is se puchho
mubham chizen kya hoti hain
suna aangan tanha jiwan kya hota hai
(1561) Peoples Rate This