Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c08438b2aca47258540f380fc35d5c70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi - Aanis Moin Poetry In English - Darsaal

Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi

wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi

ajib shaKHs hai apna bhi hai paraya bhi

ye intizar sahar ka tha ya tumhaara tha

diya jalaya bhi main ne diya bujhaya bhi

main chahta hun Thahar jae chashm-e-dariya mein

larazta aks tumhaara bhi mera saya bhi

bahut mahin tha parda larazti aankhon ka

mujhe dikhaya bhi tu ne mujhe chhupaya bhi

bayaz bhar bhi gai aur phir bhi sada hai

tumhaare nam ko likkha bhi aur miTaya bhi

(1712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi In English By Famous Poet Aanis Moin. Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi is written by Aanis Moin. Read famous Poem Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi for youth and Student by Aanis Moin. Free Download Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi in PDF.