Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a079becb0cd664c2649164ed74129ad5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Kuchh Gahri Soch Mein Aise Dub Gaya Hai - Aanis Moin Poetry In English - Darsaal

Wo Kuchh Gahri Soch Mein Aise Dub Gaya Hai

wo kuchh gahri soch mein aise Dub gaya hai

baiThe baiThe nadi kinare Dub gaya hai

aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi

aaj ka suraj sham se pahle Dub gaya hai

wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha

pani pani kahte kahte Dub gaya hai

mere apne andar ek bhanwar tha jis mein

mera sab kuchh sath hi mere Dub gaya hai

shor to yun uTTha tha jaise ek tufan ho

sannaTe mein jaane kaise Dub gaya hai

aaKHiri KHwahish puri kar ke jina kaisa

'anas' bhi sahil tak aa ke Dub gaya hai

(3502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kuchh Gahri Soch Mein Aise Dub Gaya Hai In English By Famous Poet Aanis Moin. Wo Kuchh Gahri Soch Mein Aise Dub Gaya Hai is written by Aanis Moin. Read famous Poem Wo Kuchh Gahri Soch Mein Aise Dub Gaya Hai for youth and Student by Aanis Moin. Free Download Wo Kuchh Gahri Soch Mein Aise Dub Gaya Hai in PDF.