Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte
jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte
bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte
sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai warna
shahr mein phaili virani ko sab virani kahte
waqt guzarta jata aur ye zaKHm hare rahte to
baDi hifazat se rakkhi hai teri nishani kahte
wo to shayad donon ka dukh ek jaisa tha warna
hum bhi patthar marte tujh ko aur diwani kahte
tabdili sachchai hai is ko mante lekin kaise
aaine ko dekh ke ek taswir purani kahte
tera lahja apnaya ab dil mein hasrat si hai
apni koi baat kabhi to apni zabani kahte
chup rah kar izhaar kiya hai kah sakte to 'anas'
ek alahida tarz-e-suKHan ka tujh ko bani kahte
(1573) Peoples Rate This