Ho Jaegi Jab Tum Se Shanasai Zara Aur
ho jaegi jab tum se shanasai zara aur
baDh jaegi shayad meri tanhai zara aur
kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar
ai kash ki hoti meri gahrai zara aur
phir hath pe zaKHmon ke nishan gin na sakoge
ye uljhi hui Dor jo suljhai zara aur
tardid to kar sakta tha phailegi magar baat
is taur bhi hogi teri ruswai zara aur
kyun tark-e-talluq bhi kiya lauT bhi aaya?
achchha tha ki hota jo wo harjai zara aur
hai dip teri yaad ka raushan abhi dil mein
ye KHauf hai lekin jo hawa aai zara aur
laDna wahin dushman se jahan gher sako tum
jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur
baDh jaenge kuchh aur lahu bechne wale
ho jae agar shahr mein mahngai zara aur
ek Dubti dhaDkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur
(2257) Peoples Rate This