Ek Karb-e-musalsal Ki Saza Den To Kise Den
ek karb-e-musalsal ki saza den to kise den
maqtal mein hain jine ki dua den to kise den
patthar hain sabhi log karen baat to kis se
is shahr-e-KHamoshan mein sada den to kise den
hai kaun ki jo KHud ko hi jalta hua dekhe
sab hath hain kaghaz ke diya den to kise den
sab log sawali hain sabhi jism barahna
aur pas hai bas ek rida den to kise den
jab hath hi kaT jaen to thamega bhala kaun
ye soch rahe hain ki asa den to kise den
bazar mein KHushbu ke KHaridar kahan hain
ye phul hain be-rang bata den to kise den
chup rahne ki har shaKHs qasam khae hue hai
hum zahr bhara jam bhala den to kise den
(1872) Peoples Rate This