Nae Zamane Ke Nit-nae Hadsat Likhna
nae zamane ke nit-nae hadsat likhna
udas phulon ki zard patton ki baat likhna
falak darichon se jhankte KHushnuma manazir
zamin pe be-zariyon mein lipTi hayat likhna
thakan ka ehsas ho to kar lena yaad us ko
adhure KHwabon ki sar-phiri kaenat likhna
siyahi kis ne bikher di kore kaghazon par
ki ujle alfaz kha gae kaise mat likhna
ye kaun us ki kahaniyan phir suna raha hai
kahan se aai hai KHushbuon ki baraat likhna
andhere raste mein raushni ki sada se pahle
ye kis ne kandhe pe rakh diya apna hat likhna
ujale farda ke DhunDhti hain thaki nigahen
ye kin hisaron mein qaid hai apni zat likhna
bhaTak gai hai chahaar samton mein soch kyun kar
ki zehn-o-dil par laga gaya kaun ghat likhna
kalam tera fasurda chehron ka aaina ho
tu apne ashaar mein har ek dil ki baat likhna
use ye zid thi ki din ko likhun main raat 'anjum'
mujhe na manzur tha kabhi din ko raat likhna
(1343) Peoples Rate This