Ho Gae Aangan Juda Aur Raste Bhi BaT Gae
ho gae aangan juda aur raste bhi baT gae
kya hua ye log kyun ek dusre se kaT gae
gham ne har ek raste mein khol rakkha tha mahaz
hum bhi chehre par hansi ka KHol le kar DaT gae
nafraton ki dhup jhulsane lagi har shaKHs ko
pyar ke us shahr mein sab peD kaise kaT gae
Dar ki jab sari haqiqat munkashif hum par hui
KHud-baKHud Dar ke sabhi sae achanak haT gae
kaun jaane kis nasheman par giri hain bijliyan
kis taraf TuTe hue taron ke ye jhurmaT gae
mo'atabar hone lagin jab bazm mein tarikiyan
KHamushi ki oT mein hum log pichhe haT gae
ghar se ai 'anjum' zara bahar nikal kar dekhna
log kahte hain ki ab tarik baadal chhaT gae
(1618) Peoples Rate This