Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4dd920923ca1cbc281f3eda949456e3a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Shai Aani-jaani Hai - Aanand Saroop Anjum Poetry In English - Darsaal

Har Shai Aani-jaani Hai

har shai aani-jaani hai

jiwan bahta pani hai

hijr ki raaten wasl ke din

ek dilchasp kahani hai

husn hai fani ishq mera

an-miT hai la-fani hai

jo na-ahl hai un hathon mein

phulon ki nigarani hai

rahte ek gali mein hain

donon ko hairani hai

sab chalte hain Dagar Dagar

ek Dagar an-jaani hai

apna hai phir apna lahu

pani aaKHir pani hai

'anjum' teri ghazlon mein

sachche pyar ki bani hai

(1295) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Shai Aani-jaani Hai In English By Famous Poet Aanand Saroop Anjum. Har Shai Aani-jaani Hai is written by Aanand Saroop Anjum. Read famous Poem Har Shai Aani-jaani Hai for youth and Student by Aanand Saroop Anjum. Free Download Har Shai Aani-jaani Hai in PDF.