Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_154de0da974cd023e645fac70b3269a7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aazmaish Mein KaTi Kuchh Imtihanon Mein Rahi - Aanand Saroop Anjum Poetry In English - Darsaal

Aazmaish Mein KaTi Kuchh Imtihanon Mein Rahi

aazmaish mein kaTi kuchh imtihanon mein rahi

zindagi kin raston mein kin Thikanon mein rahi

wo to ek halki si dastak de ke ruKHsat ho gaya

ek sada ras gholti din-raat kanon mein rahi

likh gai apne gharon mein ek karb-e-na-tamam

zindagi goya hamare mehrbanon mein rahi

miT gain aangan mein sari khelti parchhaiyan

ek be-kaifi musalsal aashiyanon mein rahi

wo zamin ki sarhadon mein hi raha 'anjum' muqim

kyun talash insan ko phir aasmanon mein rahi

(1567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazmaish Mein KaTi Kuchh Imtihanon Mein Rahi In English By Famous Poet Aanand Saroop Anjum. Aazmaish Mein KaTi Kuchh Imtihanon Mein Rahi is written by Aanand Saroop Anjum. Read famous Poem Aazmaish Mein KaTi Kuchh Imtihanon Mein Rahi for youth and Student by Aanand Saroop Anjum. Free Download Aazmaish Mein KaTi Kuchh Imtihanon Mein Rahi in PDF.