Saloni Sardiyon Ki Nazm
purane boot hain tasme khule hain
abhi miTTi ke chehre un-dhule hain
sharaben aur mashkiza sahar ka
abhi hai jism pakiza gajar ka
sute chehre pe istehza ka mausam
lahu nabzon se KHali kar gaya hai
gale mein mulk ke tawiz Dalo
bidesi barchhiyon se Dar gaya hai
ghazal dalan mein rakkhi hai main ne
mahak hai sangtare ki qash jaisi
ye kaisi mai hai jo chakkhi hai main ne
mujhe ushshaq ye kahte hain 'amir'
bahut tanha sisakte dahr mein ho!
baDe shaer ho chhoTe shahr mein ho
fareb-e-asr se madhosh kamra
nigoDi titliyon se bhar gaya hai
samundar pinDliyon tak aate aate
kisi patthar ki sil par mar gaya hai
saloni sardiyon se jhankte hain
wo abru kashtiyon ko hankte hain
sileTi baadalon ka ye sahifa
meri muTThi mein paDhta hai wazifa
main rota hun to ro paDte hain tair
mere hujre mein kam aate hain zaer
ye poren nur-bafi kar rahi hain
mohabbat ko ghilafi kar rahi hain
tafaKHur mein hai do honTon ka KHam bhi
abhi rakkha nahin main ne qalam bhi
(1531) Peoples Rate This