Ada Hai KHwab Hai Taskin Hai Tamasha Hai

ada hai KHwab hai taskin hai tamasha hai

hamari aankh mein ek shaKHs be-tahasha hai

zara si chae giri aur dagh dagh waraq

ye zindagi hai ki aKHbar ka tarasha hai

tumhaara bolta chehra palak se chhu chhu kar

ye raat aaina ki hai ye din tarasha hai

tere wajud se bara-dari damak uTThi

ki phul pallu sarakne se irtiasha hai

main be-zaban nahin jo bolta hun likh likh kar

meri zaban tale zahr ka batasha hai

tumhaari yaad ke charkon se laKHt laKHt hai ji

ki KHanjaron se kisi ne badan ko qasha hai

jahan bhar se jahan-gard dekhne aaen

ki putliyon ka mere mulk mein tamasha hai

(2115) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada Hai KHwab Hai Taskin Hai Tamasha Hai In English By Famous Poet Aamir Suhail. Ada Hai KHwab Hai Taskin Hai Tamasha Hai is written by Aamir Suhail. Read famous Poem Ada Hai KHwab Hai Taskin Hai Tamasha Hai for youth and Student by Aamir Suhail. Free Download Ada Hai KHwab Hai Taskin Hai Tamasha Hai in PDF.