Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0cc84d30b27faae70caa62ab0591bc34, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Sochna Ghalat Hai Ki Tum Par Nazar Nahin - Aalok Shrivastav Poetry In English - Darsaal

Ye Sochna Ghalat Hai Ki Tum Par Nazar Nahin

ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin

masruf hum bahut hain magar be-KHabar nahin

ab to KHud apne KHun ne bhi saf kah diya

main aap ka rahunga magar umr bhar nahin

aa hi gae hain KHwab to phir jaenge kahan

aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin

kitna jien kahan se jien aur kis liye

ye iKHtiyar hum pe hai taqdir par nahin

mazi ki rakh ulTin to chingariyan milin

be-shak kisi ko chaho magar is qadar nahin

(2058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Sochna Ghalat Hai Ki Tum Par Nazar Nahin In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Ye Sochna Ghalat Hai Ki Tum Par Nazar Nahin is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Ye Sochna Ghalat Hai Ki Tum Par Nazar Nahin for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Ye Sochna Ghalat Hai Ki Tum Par Nazar Nahin in PDF.