Ye Aur Baat Dur Rahe Manzilon Se Hum
ye aur baat dur rahe manzilon se hum
bach kar chale hamesha magar qafilon se hum
hone ko phir shikar nai uljhanon se hum
milte hain roz apne kai doston se hum
barson fareb khate rahe dusron se hum
apni samajh mein aae baDi mushkilon se hum
manzil ki hai talab to hamein sath le chalo
waqif hain KHub rah ki barikiyon se hum
jin ke paron se subh ki KHushbu ke rang hain
bachpan udhaar lae hain un titliyon se hum
guzre hamare ghar ki kisi rahguzar se wo
parde haTae dekhen unhen khiDkiyon se hum
ab to hamare beach kabhi duriyan bhi hon
tang aa gae hain roz ki nazdikiyon se hum
jab bhi kaha ki yaad hamari kahan unhen
pakDe gae hain Thik tabhi hichkiyon se hum
(1463) Peoples Rate This