Thik Hua Jo Bik Gae Sainik MuTThi Bhar Dinaron Mein
Thik hua jo bik gae sainik muTThi bhar dinaron mein
waise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaron mein
sard nason mein chalte chalte garm lahu jab barf hua
chaar paDosi jism uTha kar jhonk aae angaron mein
kheton ko muTThi mein bharna ab tak sikh nahin paya
yun to mera jiwan bita samanti ayyaron mein
kaise us ke chaal-chalan mein angrezi andaz na ho
aaKHir us ne sansen lin hain pachchhim ke darbaron mein
nazdiki akasr duri ka karan bhi ban jati hai
soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daron mein
chand agar pura chamke to us ke dagh khaTakte hain
ek na ek burai tai hai sare izzat-daron mein
(1653) Peoples Rate This