Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_299f7a2af97f9fb25e23f68b4d3a439d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Sire Se PakaD Kar UdheD Deti Hai - Aalok Shrivastav Poetry In English - Darsaal

Mujhe Sire Se PakaD Kar UdheD Deti Hai

mujhe sire se pakaD kar udheD deti hai

main ek jhuT wo sachche subut jaisi hai

main roz roz tabassum mein chhupta phirta hun

udasi hai ki mujhe roz DhunDh leti hai

zarur kuchh to banaegi zindagi mujh ko

qadam qadam pe mera imtihan leti hai

jo ek phul khila hai sahar ki palkon par

tumhaare jism ki KHushbu usi ke jaisi hai

wo raushni jo sitaron ka KHas zewar hai

amiq aankhon mein akasr dikhai deti hai

(1783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Sire Se PakaD Kar UdheD Deti Hai In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Mujhe Sire Se PakaD Kar UdheD Deti Hai is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Mujhe Sire Se PakaD Kar UdheD Deti Hai for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Mujhe Sire Se PakaD Kar UdheD Deti Hai in PDF.