Manzil Pe Dhyan Humne Zara Bhi Agar Diya
manzil pe dhyan hum ne zara bhi agar diya
aakash ne Dagar ko ujalon se bhar diya
rukne ki bhul haar ka karan na ban saki
chalne ki dhun ne rah ko aasan kar diya
pani ke bulbulon ka safar jaante hue
tohfe mein dil na dena tha hum ne magar diya
pipal ki chhanw bujh gai talab saD gae
kis ne ye mere ganw pe ehsan kar diya
ghar khet gae bail raqam ab kahan rahe
jo kuchh tha sab nikal ke faslon mein bhar diya
manDi ne luT lin jawan-faslen kisan ki
qarze ne KHud-kushi ki taraf dhyan kar diya
(1530) Peoples Rate This