Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_34d22bc979d4290394400a8a3f56aa20, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga - Aalok Shrivastav Poetry In English - Darsaal

Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga

jab bhi taqdir ka halka sa ishaara hoga

aasman par kahin mera bhi sitara hoga

dushmani nind se kar ke main bahut Darta hun

ab kahan par mere KHwabon ka guzara hoga

muntazir us ke hain hum kitne yugon se lekin

jaane kis daur mein wo chand hamara hoga

main ne aankhon ko chamakte hue dekha hai abhi

aaj phir in mein koi KHwab tumhaara hoga

dil parastar nahin apna pujari bhi nahin

dewta koi bhala kaise hamara hoga

(1895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga In English By Famous Poet Aalok Shrivastav. Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga is written by Aalok Shrivastav. Read famous Poem Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga for youth and Student by Aalok Shrivastav. Free Download Jab Bhi Taqdir Ka Halka Sa Ishaara Hoga in PDF.