Agar Safar Mein Mere Sath Mera Yar Chale
agar safar mein mere sath mera yar chale
tawaf karta hua mausam-e-bahaar chale
laga ke waqt ko Thokar jo KHaksar chale
yaqin ke qafile hamrah be-shumar chale
nawazna hai to phir is tarah nawaz mujhe
ki mere baad mera zikr bar bar chale
ye jism kya hai koi pairahan udhaar ka hai
yahin sambhaal ke pahna yahin utar chale
ye jugnuon se bhara aasman jahan tak hai
wahan talak teri nazron ka eqtidar chale
yahi to ek tamanna hai is musafir ki
jo tum nahin to safar mein tumhaara pyar chale
(1980) Peoples Rate This