Qismat Mein KHushi Jitni Thi Hui Aur Gham Bhi Hai Jitna Hona Hai

qismat mein KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai

ghar phunk tamasha dekh chuke ab jangal jangal rona hai

hasti ke bhayanak nazzare sath apne chale hain duniya se

ye KHwab-e-pareshan aur hum ko ta-subh-e-qayamat sona hai

dam hai ki hai ukhDa ukhDa sa aur wo bhi nahin aa chukte hain

qismat mein ho marna ya jina ab ho bhi chuke jo hona hai

dil hi to hai aaKHir bhar aaya tum chin-ba-jabin kyun hote ho

hum tum ko bhala kuchh kahte hain taqdir ka apni rona hai

gham kahe ka yaro matam kya badloge nizam-e-alam kya

marna tha 'raza' ko marta hai ye kahe ka rona dhona hai

(1697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qismat Mein KHushi Jitni Thi Hui Aur Gham Bhi Hai Jitna Hona Hai In English By Famous Poet Aal-e-Raza Raza. Qismat Mein KHushi Jitni Thi Hui Aur Gham Bhi Hai Jitna Hona Hai is written by Aal-e-Raza Raza. Read famous Poem Qismat Mein KHushi Jitni Thi Hui Aur Gham Bhi Hai Jitna Hona Hai for youth and Student by Aal-e-Raza Raza. Free Download Qismat Mein KHushi Jitni Thi Hui Aur Gham Bhi Hai Jitna Hona Hai in PDF.