KHayal Jin Ka Hamein Roz-o-shab Satata Hai
KHayal jin ka hamein roz-o-shab satata hai
kabhi unhen bhi hamara KHayal aata hai
tumhaara ishq jise KHak mein milata hai
isi ki KHak se phir phul bhi khilata hai
Dhalegi raat to phailega nur bhi is ka
charagh apna sar-e-sham jhilmilata hai
na tai hui teri sham-e-jamal se bhi jo rah
wahin pe mera junun rasta dikhata hai
na jaane shauq ko aadat hai kyun bahakne ki
tera hijab to be-shak adab sikhata hai
kahan bujhae se bujhte hain ishq ke shoale
charagh yun to jo jalta hai bujh bhi jata hai
ye baad-e-rah-e-guzar dar-KHur-e-chaman na sahi
ghubar ka bhi Thikana nikal hi aata hai
junun ki chaal pe ThiTki na wo nazar tanha
yahan zamana bhi qadmon mein loT jata hai
hai tere gham ki gham-e-rozgar se sazish
kahan kahan dil-e-diwana kaam aata hai
'surur' jins-e-wafa bechte nahin phirte
jigar ke dagh dikhana to sab ko aata hai
(1939) Peoples Rate This