Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi
jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi
aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi
hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
yan tishna-kaamiyan to muqaddar hain zist mein
milti hai hausle ke barabar kabhi kabhi
aati hai dhaar un ke karam se shuur mein
dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi
manzil ki justuju mein jise chhoD aae the
aata hai yaad kyun wahi manzar kabhi kabhi
mana ye zindagi hai farebon ka silsila
dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi
yun to nashat-e-kar ki sarshaariyan milin
anjam-e-kar ka bhi raha Dar kabhi kabhi
dil ki jo baat thi wo rahi dil mein ai 'surur'
khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi
(2042) Peoples Rate This