Har Ek Jannat Ke Raste Ho Ke DozaKH Se Nikalte Hain
har ek jannat ke raste ho ke dozaKH se nikalte hain
unhen ka haq hai phulon par jo angaron pe chalte hain
haqaeq un se Takra kar nae sanchon mein Dhalte hain
baDe hi saKHt-jaan hote hain jo KHwabon pe palte hain
guman hota hai jin maujon pe ek naqsh-e-hubabi ka
unhi soi hui maujon mein kuchh tufan palte hain
wo raat aaKHir hui to kya ye din kab rahne wala hai
sitare mand hote hain agar suraj bhi Dhalte hain
talawwun chashm-e-saqi mein taghayyur waz-rindi mein
hamare mai-kade mein rose paimane badalte hain
haqaeq sard ho sakte hain sab mehrab-o-mimbar ke
magar wo KHwab jo rindon ke paimane mein Dhalte hain
junun ne aalam-e-wahshat mein jo rahen nikali hain
KHirad ke karwan aaKHir unhi rahon pe chalte hain
'surur'-e-sada ko yun to lahu rona hi aata hai
magar is sadgi mein bhi baDe pahlu nikalte hain
(1820) Peoples Rate This