Hamein To Mai-kade Ka Ye Nizam Achchha Nahin Lagta
hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta
na ho sab ke liye gardish mein jam achchha nahin lagta
kabhi tanhai ki KHwahish ye hoti hai ki logon ka
payam achchha nahin lagta salam achchha nahin lagta
KHuda se lau lagaen ya KHudai se rahe rishta
faqat apni KHudi ka ehtiram achchha nahin lagta
jabin-e-pur-shikan KHasan-e-alam ki nahin bhati
magar ye bhi hai ghaugha-e-awam achchha nahin lagta
na KHushbu pairahan ki hai na zulfon ki na baaton ki
hamein ye jalwa-e-baala-e-baam achchha nahin lagta
mayassar ho to qadre lutf bhi nemat hai yan yaro
kisi ka wada-e-aish-e-dawam achchha nahin lagta
ye sasti lazzaton sasti siyasat ke pujari hain
hamein ahbab ka sauda-e-KHam achchha nahin lagta
jahan harkat nahin hoti wahan barkat nahin hoti
'surur' ab wadi-e-gul mein qayam achchha nahin lagta
(1833) Peoples Rate This