Ghairat-e-ishq Ka Ye Ek Sahaara Na Gaya
ghairat-e-ishq ka ye ek sahaara na gaya
lakh majbur hue un ko pukara na gaya
kya lahu roe to aaya hai bahaaron ka salam
sirf KHwabon se haqaeq ko sanwara na gaya
marka ishq ka sar de ke bhi sar ho na saka
kaun rahi tha jo is rah mein mara na gaya
wo bhi waqt aata hai saqi bhi badal jate hain
mai-kade par kabhi maston ka ijara na gaya
shauq ki baat kab alfaz mein Dhal sakti thi
us pari ko kabhi shishe mein utara na gaya
kabhi Takra diye shishe kabhi chhalka diye jam
raegan ek bhi saqi ka ishaara na gaya
aaine jitne bhi dekhe wo mukaddar the 'surur'
jauhar-e-sidq-o-safa phir bhi hamara na gaya
(1827) Peoples Rate This