Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_411232d8ca94bfdb90400faeda08d137, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fughan-e-dard Mein Bhi Dard Ki KHalish Hi Nahin - Aal-e-Ahmad Suroor Poetry In English - Darsaal

Fughan-e-dard Mein Bhi Dard Ki KHalish Hi Nahin

fughan-e-dard mein bhi dard ki KHalish hi nahin

dilon mein aag lagi hai magar tapish hi nahin

kahan se laen wo soz-o-gudaz dil wale

ki dilbari ka wo aahang wo rawish hi nahin

haqiqaton ke bhi tewar badal to sakte hain

hamari bazm mein KHwabon ki wo KHalish hi nahin

dimagh kyun na ho sahil pe sone walon ka

kabhi kabhaar jo tufan ki sarzanish hi nahin

lubhaega use kya chand ka KHunuk jadu

jise nasib kaDi dhup ki tapish hi nahin

zamana qissa-e-dar-o-rasan ko bhul na jae

kisi ke halqa-e-gesu mein wo kashish hi nahin

ye rang-o-bu ke tilismat kis liye hain 'surur'

bahaar kya hai junun ki jo parwarish hi nahin

(1613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fughan-e-dard Mein Bhi Dard Ki KHalish Hi Nahin In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Fughan-e-dard Mein Bhi Dard Ki KHalish Hi Nahin is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Fughan-e-dard Mein Bhi Dard Ki KHalish Hi Nahin for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Fughan-e-dard Mein Bhi Dard Ki KHalish Hi Nahin in PDF.