Dil-dadgan-e-lazzat-e-ijad Kya Karen
dil-dadgan-e-lazzat-e-ijad kya karen
sailab-e-ashk-o-ah pe buniyaad kya karen
karna hai ban ko taza nihaalon ki dekh bhaal
biti hui bahaar ko wo yaad kya karen
han jaan kar umid ki maddham rakhi hai lau
ab aur pas-e-KHatir-e-nashad kya karen
sangin haqiqaton se kahan tak malul hon
ranai-e-KHayal ko barbaad kya karen
dekho jise liye hai wo zaKHmon ki kaenat
hum ek apne zaKHm pe fariyaad kya karen
rindon ki aarzu ka talatum kahan se laen
aasudgan-e-masnad-e-irshad kya karen
kis ko nahin sukun ki KHwahish jahan mein
uftadgan-e-rahguzar-e-baad kya karen
jo har nazar mein taza karen mai-kade hazar
sach hai 'surur'-e-rafta ko wo yaad kya karen
(1600) Peoples Rate This