Dastan-e-shauq Kitni Bar Dohrai Gai
dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai
sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai
fikr hai sahmi hui jazba hai murjhaya hua
mauj ki shorish gai dariya ki gahrai gai
husn bhi hai maslahat-bin ishq bhi duniya-shanas
aap ki shohrat gai yaron ki ruswai gai
hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas
ghaur se dekha to apne mein kami pai gai
zaKHm milte hain ilaj-e-zaKHm-e-dil milta nahin
waz-e-qatil rah gai rasm-e-masihai gai
gard uDai jo siyasat ne wo aaKHir dhul gai
ahl-e-dil ki KHak mein bhi zindagi pai gai
meri maddham lai ka jadu ab bhi baqi hai 'surur'
fasl ke naghme gae mausam ki shahnai gai
(2020) Peoples Rate This