Tipu Ki Aawaz
go raat ki jabin se siyahi na dhul saki
lekin mera charagh barabar jala kiya
jis se dilon mein ab bhi hararat ki hai numud
barson meri lahad se wo shoala uTha kiya
phika hai jis ke samne aks-e-jamal-e-yar
azm-e-jawan ko main ne wo ghaza ata kya
mere lahu ki bund mein raqsan thin bijliyan
KHak-e-dakan ko main ne sharar aashna kiya
jis ko bhula saken na kabhi shaiKH-o-barahman
hindostan ko wo fasana ata kiya
sahil ki aankh mein magar aai na kuchh nami
dariya mein lakh lakh talatum hua kiya
KHwab-e-giran se ghunchon ki aankhen na khil sakin
ek shaKH-e-gul se naghma barabar uTha kiya
ye bazm aisi soi ki jagi na aaj tak
fitrat ka karwan hai ki aage baDha kiya
mara hua hun go KHalish-e-intizar ka
mushtaq aaj bhi hun payam-e-bahaar ka
(1524) Peoples Rate This