Zanjir Se Junun Ki KHalish Kam Na Ho Saki
zanjir se junun ki KHalish kam na ho saki
bhaDki agar ye aanch to maddham na ho saki
badle bahaar-e-lala-o-gul ne hazar rang
lekin jamal-e-dost ka aalam na ho saki
kya kya ghubar uThae nazar ke fasad ne
insaniyat ki lau kabhi maddham na ho saki
hum lakh bad-maza hue jam-e-hayat se
jine ki pyas thi ki kabhi kam na ho saki
jo jhuk gai jabin tere naqsh-e-qadam ki samt
ta-zist phir wo aur kahin KHam na ho saki
mujh se na puchh apni hi tegh-e-ada se puchh
kyun teri chashm-e-lutf bhi marham na ho saki
kitne rumuz-e-shauq in aankhon mein rah gae
jin se nigah-e-dost bhi mahram na ho saki
mauj-e-nasim apni bahaaren luTa gai
lekin KHizan ki muda-dili kam na ho saki
allah-re ishtiyaq nigah-e-umid ka
khoe houn ki yaad mein pur-nam na ho saki
gul-kari-e-nazar ho ki rang-e-jamal-e-dost
kuchh baat thi ki zist jahannam na ho saki
in ki jabin pe KHair se ek rang aa gaya
meri wafa agarche musallam na ho saki
apne hi ghar ki KHair manai tamam umr
hum se 'surur' fikr-e-do-alam na ho saki
(1809) Peoples Rate This